Sunday, 1 May 2016

CHAMAKTA DAMAKTA RANG ROOP

KhUbsurati yuhi barkaraar nhi rehti apko iske liye lagatar koi na koi paryog karte rehna padta hai Mehnge or bazar me bikne wale product ki jagha agar aap natural beauty tips ka use kare to koi bhi side effect nhi hoga or rang roop bhi chamakta damakta rahega

1)Subha dhoodh ubalne se pehle dhoodh ki panch saat boonde hatheli par daal kar usme do boond neembu ka ras bhi mila le or phir face or hatho par male to twacha nikhar uthegi

2)twacha komal or chamkili rahe iske liye kanch ke ik piyaale me 100 gram kachcha dhoodh  chothae neembu nichode ya neembu ki ras ki itni boonde daale ki dhoodh fat jaye phir ise chehre or hantho par dheere dheere male iske bad gungunne pani se nahaye ya face dhul le isse tailiye twacha ki rangat nikharti hai

3)ik chammach dhoodh me thandhi malae or ik chutki haldi ka barik churan milakar roj face par malne se face chammak uthta hai

4)ankho ke neeche aas pass pad gaye kale gehre ko door karne ke liye cotton ko khire ke ras me bhigo kar palko par or uske aas pass rakhe 15 mint ke bad hata le


Thanku you

No comments:

Post a Comment