Thursday, 12 May 2016

GHARELU CONDITIONERS SE PAYE SILKI SHAINI BAAL

Har lady sundar kale ghane lambe or resham ki tarah chamkile baal chahati hai or chahe Q na baal hi to sir ke taz hote hai inse hi chehare ke sundart me chaar chand lagte hai lykin kabhi kabhi baalo ko adhik sundar banane ke liye hum bahar bikne wale kisi galat product ka istimaal kar lete hai jisse baal jhadne lagte h isliye hamesha baalo ke liye sahi cheezo ka hi chunav kare Waise agar w9 cheez apke hath ki hi bani ho to uspe 100% belive rehta hai isliye h7m apko yaha batYenge kuch gharelu conditioner jo apke baalo ko chikna lamba or ghana kar denge

Kuch bui lagane ya karne se pehle ye jaan le apke baal kis parkar hai

Baal chaar tarah ke hote hai
1) samany baal
2) tailiye baal
3) rukhe baal
4) mile jule baal

To ap koi bhi cheez ka istimaal baalo ke hissab se hi karna

1) samany baalo me ik chammach sirka or do chammach giliycrin milakar lagaye ise gile baalo par hi lagane thik rehta hai 10mint bad baalo ko sade pani se dhul le


2) shampoo kiye gile baalo me kachcha dhoodh male 10mint bad kunkune pani se dhul le shukhe baalo ke liye ye ik behtar gharelu conditioner hai isse shukhe baalo me chammak ati hai or sukhapan door hota hai

3) tailiye baalo me shampoo karne ke bad adhe pani me ik neembu ka ras or ik chammach shirka mila kar lagaye 20mint bad sade pani se baalo ko achchi tarah dhul le

4) baal kisi bhi tarah ke ho unme ik anda ka pila wala bhag zara sa garam pani me milakar lagaye 10mint ke bad baalo ko sade pani se dhul le

5) adha chammach chai patti chaar chammach mehndi milakar pest banaye or baalo me lagaye 20mint ke bad dhul le

6) pani me do chammach methi dano ko bhigo de fulne, par pees kar baalo me laga le 20mint bad halke garam pani se dhul le

7) nahane ke bad baalo ko toliye me ragad ragad kar dheere dheere sukhaye dhoop me khadi hoker baalo ko na sukhaye baalo ko hair dryer se na sukhaye isse baal apni chammak khote hai or kamjor bhi hote hai

8) Dahi me neembu ka ras milakar 20mint tak baalo me lagaye phir baal dhul le

Thank you

No comments:

Post a Comment